Amazon

Always Happy : How To Always Be Happy And Positive : हर श्वांस में खुशी का साज बजना ही इस श्रेष्ठ जन्म की सौगात है

Always Happy : How To Always Be Happy And Positive

हर श्वांस में खुशी का साज बजना ही इस श्रेष्ठ जन्म की सौगात है |

Always Happy : How To Always Be Happy And Positive

Always Happy : How To Always Be Happy And Positive

Om Shanti to All Divine Sisters and Brothers,

Kal Mahalaya Sampann hua aur aaj se Navratri ki shuruwat ho gayi, Aaj kalash sthapna hain. Isliye aaplogo se navaratri ke spiritual and scientific rahashya ka video share kar raha hun. Jarur Dekhe.

Navratri Day 1st I Significance I BK Shivani




इस नवरात्री आइये खुद को आध्यत्मिकता से सशक्त करें | B.K. Usha Didi | Godlywood Studio



Brahmakumaris ke aaj sunday dated 29 Sep 2019 ki avyakt murli ka anubhaw aapse share kar raha hu aur aaye iss par manthan bhi karte hain.

Aaj ki murli ka title hain ki har sans me khushi ka saaj(music) bajna ki iss shresth janam ki sougat hain. Hame hamesha hi khush rahna hain. Lekin Kya yeh hamesha possible hain? Toh iss baat me kitna sachhai hain? Iss srishti chakra me 2 baar aisa samay aata hain jab ham hamesha khushi ka anubhaw karte hain. Ek kalyuga ke ant aur satyug ke aadi ka samay jisse ham Sangamyug kehte hain, jab khud bhagwan aakar(yada-yada hi dharmashya...) hame sacha sacha Geeta gyan padhate hain aur hamesha ke kiye khush bana dete hain. Hamare sare dukh har(dukh harta, sukh karta) lete hain. Yahi samay bhagya banane ka hain. Toh hua na always happiness. Toh Aaye Brahma Kumaris ke kisi bhi najdiki center aur bhagya banaye.

Muj aatma ke manthan anusar, dusra samay hain Satyug(Swarg, Paradize, Sukhdham etc), Jaha ek dharam, ek rajya, ek bhasha hoti hain jis dharam ka naam aadi sanatan devi-devta dharam hota hain. Jaha aatma puri 16 kala sampuran hoti hain aur sato guno(pavitrata, gyan, prem, sukh, shanti, anand aur shakti) se bharpur hoti hain. Waha dukh ka namo nisan nahi hota hain. Toh hua na always happiness

Bhole Nath Bhandari

Itna din se hamlog puja karte aa rahe hai, bhole nath jee ka, lekin kya hame malum hain ki bhole nath bhandari kyo kaha jata hain. Wo kaun sa bhandar hai jisse ham aatmao ko ve bharpur kar dete hain. Yeh yahi aatma ke satogunn. Jab aatma satoguno se bharpur ho jati hain toh bhole nath bhandari hame swarg ke 21 janam ka rajya-bhag de dete hain. Aur hamare 21 janam khub dhan se bhar dete hain. Isliye Bharat ko sone ki chidiyan kha jata hain. Toh bhagwan jab aate hain toh hame Geeta Gyan padha kar aatmao ko paawan banate hain.

आप सदा खुशनसीब सदा सम्पन्न श्रेष्ठ आत्मायें हो
Jab Bhagwan aate hai toh hame hamesha ke liye khush bana dete hain. Ham kya karte hain? Ham paristhithi vas Negative sochne lagte hain aur apne bhagya ko hi kosne lagte hain. Hamne Brahmakumaris ka 7 days ka course kiya hain aur hamne bhagwan ko pahchan liya hain. Bhagwan(Baap), Bhagya+wan = Bhagwan. Wo khud aaye hai hamara bhgya banne, toh kya hame apna bhagya nahi banana hain? Bhagya batne ka samay toh yahi hai. Jo Chal Raha hain.

अभी का पुरूषार्थ इक्कीस जन्म की प्रालब्ध। इक्कीस जन्म सदा सम्पन्न स्वरूप में होंगे। तो पुरूषार्थ क्या किया? मेहनत लगती है? पुरूषार्थ अर्थात् सिर्फ अपने को इस रथ में विराजमान पुरूष अर्थात् आत्मा समझो। इसको कहते हैं पुरुषार्थ। यह पुरुषार्थ किया ना। इस पुरुषार्थ के फलस्वरूप इक्कीस जन्म सदा खुश और मौज में रहेंगे। अब भी संगमयुग मौजों का युग है। मूँझने का नहीं, मौजों का युग है।
आज के इस दिव्य दिवस की विशेष सौगात बापदादा सभी स्नेही बच्चों को दो गोल्डन बोल दे रहे हैं। एक सदा अपने को समझो-"मैं बाप का नूरे रत्न हूँ।'' दूसरा-"सदा बाप का साथ और हाथ मेरे ऊपर है।'' साथ भी है और हाथ भी है। सदा आशीर्वाद का हाथ है और सदा सह-योग का साथ है। 
Toh Hame Brahma Baap Saman Banna Hai, Sada Khus. Sirf Thoda samay khush nahi. Pura Sangamyug hi mouz ka samay hain. Baap-Dada Ke Godi(hamesha baap ke sath ka anubhaw, mahsusta) me baith hamesa khus. Devi-Devta Ban rahe hain. Devi-Devta rote hai kya. Nahi Na!

Dil Se Om Shanti! Agar aap kuch kahna chahte hai, toh jarur comment kare 

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.