Amazon

Spiritual Significance Of Republic Day Brahma Kumaris

Spiritual Significance Of Republic Day Brahma Kumaris

स्वराज्य अधिकारी बनो, गुणों को अपने विचारों और कार्यों पर शासन करने दो।

Om Shanti To All Brothers and Sisters, Aaj Bharat Ke 74th Republic Day Ke Awsar par main BK Ravi kumar aapke sath bahut hi sunder lekh prastut kar raha hu, iss lekh par ham baat karege ki Republic Day ka vastvik arth kya hain, iska spiritual significance kya hain. 

Republic Day - गणतंत्र दिवस - ऐसा राष्ट्र जिसकी सत्ता जनसाधारण में समाहित हो।

Gantantra diwas ke arth ko dekhe toh, shashan karna. Iska spiritual meaning agar dekhe toh, iska matlab hain Swarajya Adhikari banna. Swarajya, apne aap par shashan karna. Main Swarajya adhikari aatma hu. Main aatma main pure sharir ki malik, man, buddhi, sanskar ki malik hu. Apne pure sharir ko chalane wali, apne thoughts par shashan karne wali. Main jo chahu wahi karu, jo nahi chahu wo nahi karu. Main aapne kiye gaye karyon par kabhi pachtane wala nahi. Aisa swarajya adhikari. Main aatma apne guno ko karyon me lagane wala. Aur apne guno ko karyon me lagate hue swarnim bharat ki sthapna karne wala. This is the true celebration of the Republic Day. 


Become self-sovereign, let virtues govern your thoughts and actions.


Main swarajya adhikari aatma, apne vikaro par vijay prapt karne wala. Kam, Krodh, Lobh, Moh & Ahankar se mukt, sachi azadi manate hue main aatma apne sato guni swarup(Gyan, Pavitrata, Sukh, Shanti, Prem, Anand & Shakti) se apne upper rajya karne wala swaraj adhikari. Aur swaraj se swarnim bharat banane wala. Koi bhi kam vikaro me vash hokar nahi balki nihswarth bhaw se, sada santusht rahkar, prem purvak aur samarpan bhaw se, apne ko nimit samjhkar trusty swarup me sewa bhaw se shashan karna. Aur Bharat ko phir se sone ki chidiya banane wala.


Self-governance, swa-shasan. Apne upper shashan karne wala, jo meri zindagi me jo kuch bhi ho raha hain uska responsible main khud hu aur koi bhi nahi hai. Jaisa soch waisa sansar. Isse kahege swa-shashan. Toh aaye iss Republic Day ke shubh bela me apne swa-shashan ko check kare aur attention dekar ham swaraj adhikari bane. 









No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.