Ruhani Social Service - Brahmakumaris
Baba kahte hain mithe bacche tumeh ruhani service me busy rahna hain. Aaj ki murli me baba kahte hain mithe bacche, tum baccho ko ruhani social service bhi karni hain, iss sewa me apna jeevan safal karna hain.
Baba aksar murli me yeh kahte hain ki baap bhi service par hain, aur bacche aap log bhi din-rat service me busy raho. Tum bacche bharat ko kante se phool banane ke sewa karte ho.
Social service jab dunia wale karte hain toh usme ham garibo ko madad karte, badh pidito ko madad karte, garibo ke baccho ko free me padhate etc, aise bahut se karya hai jo ham social service me karte hain. Baba toh kahte hain bacche ruhani social service me busy raho.
Ruhani social service kya hain?
Jab baba apne wade anusar aate hain aur Brahma jee ke tan ka aadhar lekar ham aatmao ko ruhani gyan sunate hain toh ham aatmaye patit se pawan bante hain aur ek swachh samaj(swarg) ka nirman karte hain. Baba aate hi narak ko phir se swarg banane. Toh baba toh shuru se hi aakar sewa me busy rahte hain. Aur bacche jo khud me parivartan karte hain, pehle pavitra bante hain aur pavitra bankar dusri aatmao ko bhi pavitra banate hain.
Yeh Ruhani social service kahlati hain, isme koi sthul chize nahi hoti, balki aatma level par baba ham aatmao ke vikaro ko, dukh ko harte hain aur sukh dete hain. Yeh chize gupt sewa hoti hain. Kyoki yeh koi bahari prakriya nahi hain, yeh aantrik prakriya hain. Isliye baba isse gupt sewa kahte hain.
Ham sab ruhani worriors hain aur gupt rup se jaise baba gupt sewa kar rahe hain aatmao ko patit se pawan banane ka, waise ham aatmaye bhi swa parivartan se viswa parivartan kar rahe hain. Wo military me, desh sewa hoti hain, jisme army ke jawan border par desh ki raksha karte hain.
Baba hame ruhani military kahte hain jisme ham aatmao ko raksha karte hain baba aur hame pavitra(pure intellect and mind) banate hain. Ham sab baba(ruhani commander) ke sath ruhani militry sena bankar pure viswa ko kante se phool banate hain. Pavitra bante hain aur banate hain. Snehi bante hain phir snehi banate hain.
04-09-2020 साकार मुरली
तुम अभी खुद समझते हो हम सब बच्चे बाप की श्रीमत पर भारत की रूहानी सर्विस करते हैं अपने ही तन-मन-धन से। प्रदर्शनी अथवा म्युज़ियम आदि में पूछते हैं तुम भारत की क्या सेवा करते हो? तुम जानते हो हम भारत की बहुत अच्छी सर्विस करते हैं, जंगल से बगीचा बना रहे हैं। सतयुग है गार्डन। यह है काँटों का जंगल।
तुम बच्चों को रूहानी सोशल सर्विस भी करनी है, इस सेवा में अपना जीवन सफल करना है। चलन भी बहुत मीठी सुन्दर होनी चाहिए, जो औरों को भी मीठे-पन से समझा सकें। खुद ही कांटा होगा तो किसको फूल कैसे बनायेंगे, उनका तीर पूरा लगेगा नहीं। बाप को याद नहीं करते होंगे तो तीर कैसे लगेगा। अपने कल्याण के लिए अच्छी रीति पुरूषार्थ कर सर्विस में लगे रहो। बाप भी सर्विस पर है ना। तुम बच्चे भी दिन-रात सर्विस पर रहो।
No comments:
Post a Comment