Amazon

प्रभु प्राप्ति का सर्वश्रेष्ठ, सहज तथा स्पष्ट मार्ग

प्रभु प्राप्ति का सर्वश्रेष्ठ, सहज तथा स्पष्ट मार्ग

Baba kehte hai bacche, aaj tak ham aatmaye prabhu, paramaatma, bhagwan ki khoj karte aaye, kha kha nahi gaye trith karne lekin bhagwan ko prapth nahi kar paye. Aab jab ham aatmao ko bhagwan mil chuke hai. Bhagwan ne hame khud khoja hain, tab hame kitna nishchay hona chahiye. Baba kehte hai bacche sabse best, easy and clear rasta hai ki ham bacche srimat par chale toh prabhu prapti easy ho gayega Aur ham prabhu pyar ke layak ban jayege.


Bhagwan hame roj prabhu pyar dete hai aur Geeta gyan(Murli) ke madhyam se hame roj hame Srimat dete hai, lekin ham baccho main bhi bahut numerwar hai, sab ek jaise palan nahi karte hai. Isliye pad bhi bhrasth bhi ho jata hain.

"Ham bhagwan ko mante hai lekin bhagwan ki nahi mante hai."

Ham bhagwan ko toh mante aaye hai itne salo se lekin bhagwan kya kah rahe hai ham aatmao se, yeh dhyan hi nahi dete hai Hamlog mandir toh jate hai, puja karte hai aur waha se ghar aa jate hai, lekin bhagwan bhi kuch kahna chahte hai ham aatmao se(Sharir se nahi), hame unhe sunna chahiye, Bhagwan Geeta shashtra ke madhyam se ham aatmao se kya kah rahe hai, usse ham najar andaj kar dete hain.

Dekhiye bhagwan kya kahte hain:

"सिर्फ कदम रखो और हर कदम में पदम लो।"

Baba kehte hai, bacche himmat ka ek kadam aage badhao, baaki hamare sare kam wo sahaj kar denge.

Aaye yeh geeta sunte hai, "Bhagwan hamara sathi hai" - Sunne se hame badi shanti milti hain.



"सिर्फ कदम रखना आपका काम है, चलाना, पार पहुँचाना, कदम-कदम पर बल भरना, थकावट मिटाना यह सब साथी का काम है। सिर्फ कदम नहीं हटाओ।"
Bhagwan kehte hai ki sirf apne har sankalp par control rakho, har sankalp ko swachh banao toh apne aap hi har karam bhi aacha hoga aur ham aatmaye pap se bach jayege.

Hamare pita, parampita paramatma, jaisa bhagwan ka sankalp waisa baccho ka sankalp. 

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.