व्यर्थ को समाप्त करने का साधन-समर्थ संकल्पों का खजाना ज्ञान मुरली
Baba Ne Kha ki bacche apne dimag main aane wale waste thoughts ko samapt karo. Kaise karoge? Brahma Kumaris organization main daily murli class hota hain. Murli main daily baba gyan sunate hain jisme knowledge hota hai - sabhi shashtro ka sar hota hain murli main. Jo parampita parmatma ne apne mukh se bole hain.
Parampita parmatma jinhe ham itna varsho se dhundh rahe the, wo iss dharti par aa chuke hain, 83 years ho bhi chuke hain. "SHIV HI SATYA HAIN"
Wo bhagwan jo patit ko pawan banate hain, dukhi ko sukhi banate hain, rawan ko raam banate hain. Kaise?
Unhe ham satguru bhi kahte hai na, toh guru ka kya kaam hota hai? Wo aatte hi ham baccho sacha sacha Geeta gyan dete hai aur hame Rajyog sikhate hain. Jisse hamare vikaram vinash ho jate hai aur ham potit se pawan bante hain. Devi guun dharan karte hain. Apne Indriyon par control karte hain. Kam, Krodh, Lobh, Moh, Ahankar ko shiv baba par arpan kar dete hain. Aur Sabhi aatmao ko pawan bana ke mukti de dete hain.
व्यर्थ को कैसे समाप्त करें
wyarth ko samapt ham tabhi kar sakte hai jab kuch samarth kam kare. Jaise ek baalti hai aur wo gande pani se bhara hai, usse kaise saaf kiya ja sakta hai, jab ussme saaf jal bhara jaye. Ek samay aayega jab wo pura balti ka jal saaf ho gayega.
Yani bhagwan hame kahte hai ki bache purusharth karo, rajyog ka abhyas karo. Sacha Sacha Geeta gyan ko padho aur dharan karo. Apne ko devi guno se bharo tabhi wo asuri sanskar samapt ho gayege. Hamare ander asuri sanskar tabhi khatam honge jab ham devtai sanskar ko dharan karege.
Pura bottle bhara hai toh usme aur jal bharege toh nahi jayege. Pahle hame uss bottle ko khali karna hoga tabhi ham naya kuch dal sakte hain.
Main roj murli ka pathan karta hu aur kosis karta hu ki usse apne life main 100% dharan kar sku aur uske baad logo ko samjhau, dusre logo ke bhi jeevan main khushiya lao. Unka dukh dur karu.
Iss Kalyugi dunia main har jagah negativity hi negativity hain, isliye bhagwan bolte hai, bacche apne ko aatma samjho aur iss purani dunia se moh khatam karo. Apne ko aatma samjh ke bhagwan ko yaad karo. Geeta main likha hain na "MANMANABHAW". Hame dinbhar ghar grihast main rahte hue bhagwan ko yaad karna hai aur karamyogi banne ka abhyash karna hai. Tbhi har karam ham srimat anusar karege aur hamse koi pap karam nahi hoga. Kyoki hamne bhagwan ki yaad main rahkar wo karam kiya.
Lekin aaj ki dunia main kya ho raha hai, ek taraf log bhagwan ki puja karte hai aur dusri taraf pap. Bhagwan ki puja karna aur bhagwan ko yaad karna - dono main antar hain. Yaad usi ko kiya jata hain jab ham unhe jante hai, hamara unse kuch relation hain. Tab ham unhe badhe pyar se yaad karte hain. Geeta main bhagwan ne kha hai ki bacche aab bahut pap ho gaya, aab bhagwan jinhe ham baap bhi kahte hain unhe yaad karo aur pap ko chuktu karo. Nahi toh pap ka phal bahut hi bhayanak bhogna padega. Pap ko ya toh Yog se chuktu kar sakte hai yaa bhog se. Kaise chuktu karna chahte hain?
Lekin aaj ki dunia main kya ho raha hai, ek taraf log bhagwan ki puja karte hai aur dusri taraf pap. Bhagwan ki puja karna aur bhagwan ko yaad karna - dono main antar hain. Yaad usi ko kiya jata hain jab ham unhe jante hai, hamara unse kuch relation hain. Tab ham unhe badhe pyar se yaad karte hain. Geeta main bhagwan ne kha hai ki bacche aab bahut pap ho gaya, aab bhagwan jinhe ham baap bhi kahte hain unhe yaad karo aur pap ko chuktu karo. Nahi toh pap ka phal bahut hi bhayanak bhogna padega. Pap ko ya toh Yog se chuktu kar sakte hai yaa bhog se. Kaise chuktu karna chahte hain?
How to Remove Waste Thoughts from our mind?
Baba(bhagwan) kahte hai ki apne waste thoughts ko kaise samapt karege? Jab ham khud ke baare main chintan karege. Swadarshan chakradhari banege. Hame puri dunia main kya ho raha hai sab pata hain. Lekin hamare ander kya chal raha hai yahi pata nahi hota.
Ham kabhi apne aap se baat hi nahi karte hain. Apne liye samay hi nahi nikalte hain. Self management hi nahi karte hain. Hame apne liye samay jarur nikalna chahiye aur apne ander chuke asuri sanskar, bad behavior ko check karte rahna chahiye ki kya hamare ander koi kharab sanskar hai, kharab guun hain jo hame turant hi nikal dena chahiye rajyog ke abhyaas se. Rajyog ke abhyas se hame parmatma se shakti milti hi usse nikalne main.
Waste Thoughts Checking?.
1. Kya main dinbhar wyarth chintan karta hu?
2. Kya main kharab food diet khata hun?
3. Kya main dinbhar negative sochta hun?
4. Kya main sabko pyar deta hun?
5. Kya main aatma ko aacha khana deta hun? (aatma ka khana gyan)
6. main apne man ko shant karne ke liye kya kya karta hun?
7. Kya main apne aap ko koi samarth chiz main busy rakhta hun?
8. Kya main kisi ki chugli karta hun?
9. Kya main kisi ko dukh toh nahi deta?
10. Kya main dinbhar kam vikar ke bare main sochta hun?
11. Kya main bahut hi jyada emotional hun?
12. Kya main gussa karta hun?
13. Kya main kisi ko gali deta hun yaa unchi awaz main baat karta hun?
14. Kya main kisi par hukm chalata hun?
15. Kya main kisi se itna pyar karta hun ki wahi mero kamjori ban jati hain?
16., Kya main apne baccho ko marta hun yaa dantta hu?
17. Kya mere main moh hai kisi ke sath?
18. Kya main kisi ke sath itna attach hu ko wo meri kamjori ban gayi hain?
19. Kya main sirf zindagi ko kaat raha hu? ki paramatma ke karya main sahyogi ban raha hun?
20. Kya mere main kisi tarah ka lobh, lalach toh nahi?
21. Kya main hadd se jyada sota toh nahi?
22. Kya mere main alashya hai?
23. Kya main jyada sust toh nahi?
24. Kya main exercise karta hu?
25. Kya main roj yog karta hun?
26. Kya main saf safai rahta hu?
27. Kya mere lagbhag sabhi kaam koi aur karte hain ki main apna kaam khud hi karta hun?
28, Kya mere main aisi habits hai toh mere aadat(addiction) ban chuki hain, jaise movie dekhna, tv dekhna, youtube par video dekhna, social media, dosto ke sath ghumna, video games khelna, bahar ka khana khana, ghutkha, tambaku khana, cigarette pina etc
Toh yeh bahut sare sawal hain jisse pata chalta hai aur apni checking hoti hai ki kya hamare ander waste thoughts hain ki nahi hai. Ager hai toh ham usse kaise badal sakte hain.
Change waste to powerful thoughts
Hamare ander bahut sare aise habit hongi jise waste ka pata chalta hain. Koi bhi doctor pahle tests karta hain ki kya bimari hai, jab bimari pata chal jati hai toh phir uska ilaz karta hain.
Aaj ki murli main baba hame yahi bata rahe the, ki kaise waste ko samapt kare. Jab ham samarth chize karte hain toh waste samapt ho jate hain.
The way to end waste is the gyan murli, the treasure of powerful thoughts.Jaise bahut se aise karya hai jisse pata chalta hai ki hamari life main waste nahi hai like daily yog(meditation) karna, murli padhna. Phir har karam ko srimat anusar kam karna. Waste thoughts ko aane hi nahi dena. Apne dimag ko khali hi nahi rakhna. Hamesha aache chizo main apna samay lagana aur busy rahna like article writing, paining, music, blog writing, teaching, godly services, social work, playing, exercise, meditation etc.
Jab ham apne aap ko busy rakhte hai, toh hamse koi galat karam nahi hote hain aur hamari aatma bhi pavitra banti jati hain, aur soul conscious ban jati hain. Yeh sabse badi achievement hoti hain kisi ke bhi life ke liye ki wo soul conscious ho jata hain. Meditation in the early morning is very important to charge our soul. Jis tarah se ham daily mobile ko charge karte hai. Bina charge kiye ham usse use nahi kar payege dinbhar. Ussi prakar hame apne aatma battery ko bhi daily charge karna hain. Uske liye hame paramaatma(Supreme soul, supreme battery) se yog(connection) lagana hoga taki hamari aatma battery charge ho sake. Jab hamari aatma charged rahegi toh dinbhar hamari life bahut hi sunder gujeregi peaceful, happiness, powerful, joyful etc.
Yahi toh ham chahte hai bhagwan se. Bhagwan se jakar kya bolte hai ki bhagwan sadgati do, shanti do. Wahi toh dene aaye hai bhagwan. Hami apna samay wyarth ke chizo main lagaye hue hain.
jaisa ham karege(boyege), waisa ham payegeToh kaisa karna chahiye. Hamesha aache karam karne chahiye taki hame uska phal aacha hi mile. Toh wyarth karam se bacche aur samarth karam kare.
Baba(bhagwan) ne hame itna samarth khajana(Kimti hira, valuable soul) diya hai toh ham kyo wyarth main phase. Ham aise aatma hai jo hamesha sabke liye aacha hi sochte hai kabhi waste nahi. Hamesha dusro ko kalyan karna hai. Ham sabhi aatmaye bahut powerful soul hai, kabhi wyarth nahi soch sakte. Ham aatmaye kabhi kharab, wyarth, negative nahi soch sakte. Ham aatmaye daily bhagwan ki yaad main rahte, daily gyan sunte aur hamari wyarth(waste) samapt ho jati hain.
Related Resources:
No comments:
Post a Comment