Amazon

The Power of Truth - सत्यता की शक्ति - Madhuban Avyakt Murli - Sunday - Dated 07-07-2019

The Power of Truth - सत्यता की शक्ति

Power of Truth Quotes:

अपने बोल की वैल्यु को समझ उसकी एकॉनामी करने वाले महान आत्मा भव
May you understand the value of your words and be economical with them and thereby become a great soul.
“सत्यम् शिवम् सुन्दरमˮ Devotees sing this praise of God: Satyam (truth), Shivam (Benevolent), Sundaram (Beautiful One)

Bhagwan Kehte hai mithe mithe bacche, satya me bahut takat hoti hai, satya ki naaw kabhi bhi dub nahi sakti hai, uska beda paar khud bhagwan karte hai. 

Isliye bacche nishchay buddhi bano aur satya(truth) par nischay karo, bhagwan hi satya hai, isliye satyam, shivam aur sunderam bolte hai. Ek Bhagwan par dridh nishchay rakhna hai. 

Wo hamare satguru hai. Sachha Sachha teacher wahi hai jo hame sacha sacha Geeta gyan sunate hai aur hame mukti aur swarg ka rajya bhag dete hai. Hame 21 janam tak sukh hi sukh dete hain. Uske liye purusharth hame abhi hi karna hai Geeta gyan padhkar aur devi guun dharan karke.


Value of Your Words  Quotes - GSE Motivation
Value Of Your Words Quotes - GSE Motivation
https://www.facebook.com/GSEMotivation/
The Power of Truth - Value of Words

Baba kehte bacche hamesha ekanami raho, jaisa socho, wahi bolo aur wahi karo bhi. Tab kabhi bhi ham aatmao ko dukh nahi ho sakta.

Satya main bahut takat hoti hain. Agar Ham satya ke marg par chalte hai hamesha toh log hame pasand karege aur hamesha hamare paas aayege. 

Jaise Mahan aatma ager kuch bolti hai toh ham usse jarur mante hai kyoki wo satya ke marg par hai, kuch bhi batayege, suggest karege toh aacha hi hoga. Wo mahan aatmaye ke bol ke value hote hai. Bahut soch samjh kar, srimat anusar wo bolte hai. 

Unke bato ko koi kat nahi sakta hai. Aise Mahan aatma hame bhi banna hai bhagwan ke saman. Taki hamari bhi bato ka mahatwa ho. Jo bhi ham bole, bahut hi soch samjhkar, baba ki yaad main bole.

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.