Hello Friends,
Main Manish Sisoudiya jee ke bhashan ko sun raha tha jo unhone Brahmakumaris education wing ke taraf se arrange kiye gaye the jisme dunia bhar se teachers, shiksha wid aaye hue the. Unhone badi achi bat kahi ki hamlog ko shiksha ka astar din prati din girta ja raha hai, hamlog education ke core ko nahi thik kar pa rahe hai. Aaj kal ka education sirf ratne bhar se thik nahi hoga balki hame isske core ko thik karna hoga. Main unka video yaha share kar raha hu, aap bhi dekhi:

Facebook par unka video:
Unhone badhi hi aachi advise di ki hame shiksha mantralaya alag banana chahiye taki ham iss par pura focus kar sake. Hame pure desh ki shiksha wyastha ko thik karni hogi.
Mujhe ek bat aur bahut aachi lagi ki unhone apne delhi ke 1000 government schools ko kabhi aacha bana diya hai aur unhone week me ek din meditation ke liye rakha hai, jisme sabhi students, teachers ko bhag lena hai. Bahut hi aachi pahal hai sarkari schools ko thik karne ka. Unhone really me bahut aacha kam kiya hai Delhi me. Main jab delhi m rahta tha toh maine waha ke government school ki halat dekhi thi, bahut ki battar halat main thi.
Aaj waha ke school ki halat international schools se bhi aachi kar di hai unhone. Main iske liye unko dil se dhanyawad deta hu aur request karta hu ki bahut jald wo pure bharat ke school ko thik karne ka kam kare. Isse bharat ke education level par bahut aacha asar hoga aur hamare education ka astar kabhi aage aayega.
Thanks
Ravi kumar
RKGupta06
No comments:
Post a Comment