Amazon

The Spiritual Significance of The Kartik Purnima - Ganga Asnan - Gurunanak Jayanti - Brahma Kumaris

The Spiritual Significance of The Kartik Purnima - Ganga Asnan - Gurunanak Jayanti - Brahma Kumaris

Aaj kartik purnima ka din bada hi pawan tayohar ke rup me manaya jata hain, aaj ke din sabhi nadiyon ke kinare mela lagta hain, jaha sabhi bhakt ganga asnan ke liye jate hain. Aisi manyata hain ki aaj ke din ganga asnan karne se sabhi pap ganga me dhul jate hain. Ganga ko patit pawani samjh usme sabhi aatmaye dubki lagate hain. Dubki lagakar samjhte hain ki main atma patit se pawan ho gayi. Sabhi aatmaye pawan ban gayi. Aaj ke din kartik purnima asnan ka bahut mahatva samjhte hain. 

Iske piche bahut bada adhyatmik rahashya hain. Bhagwan kahte hain ki patit-pawan kaun hain? kyo bhagwan ko, apne apne isht dev ko patit-pawan kyo khte hain. Kyo kahte hain apne aap ko patit aur patit ko pawan banane wale devi devta, bhagwan. Bhagwan toh kahte hain agar bhagwan ko pahchante toh aur kisi ko patit pawan kabhi na kahte hain. Bhagwan ek hain toh patit pawan bhi wahi honge. Lekin ham kinhe kahte hain aarti me, vishay vikar mithao pap haro deva. Hey patit-pawan, mujh patit ko pawan banane aaye. Hamare samne bahut se sawal aate hain?

Kya aatmaye patit ho jati hain jo pawan banne ke liye bhagwan ko pukarti hain?

Kya Pani ki Ganga patit-pawni hain?

Ham asnan kyo karte hain pani ko ganga me? Kya ham patit se pawan bane?

Kya ham asnan karne ke baad sudhar gaye? phir kabhi patit nahi banege?

Aatmaye pawan se patit kaise ban jati hain?

Purnima ke din hi asnan ka mahatwa kyo hain?

Kya pani ki ganga sirf aaj ke hi din patit-pawni hoti hain?

Aaatma kab patit hoti hain aur kab pawan hoti hain?

Aatmao ko pawan kaun banata haain aur kab?

Sabhi aatmao ke param pita kaun hain?

Iss Video ko aap sabhi awashya dekhe, sabhi sawalo ka jawab milega.

Patit Paavani Kaun, Paani ki Nadiyaan yaa Gita Gyan Ganga ? | B.K Rajiv Gupta



Guru Purnima



No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.