Amazon

Happy Children's Day - Brahma Kumaris - Spiritual Significance

Happy Children's Day - Brahma Kumaris - Spiritual Significance

Om Shanti, All divine children. Many Many congratulations and best wishes for the children's day. Yeh 14 November ka din baccho ke liye hota hain. Yah diwas Bharat me celebrate kiya jata hain. Aaj ka din Pandit Jawahar Lal Nehru ka janamdin hota hain jinki yaad me hi aaj ka din children's day ke rup me manaya jata hain. Pandit Jawaharlal Nehru ko bacche bahut pasand the, wo baccho se bahut pyar karte the. Isliye unke janamdin ko ham children's day kahte hain. 

According to Wiki

Children's Day is celebrated across India to increase awareness of the rights, care and education of children. It is celebrated on 14 November every year as a tribute to India's First Prime Minister, Jawaharlal Nehru.

Fondly known as Chacha Nehru among children, he advocated for children to have fulfilled education. On this day, many educational and motivational programs are held across India, by and for children.

About Pandit Jawaharlal Nehru

Pandit Jawaharlal Nehru swatantra Bharat ke Pahle Pradhanmantri the. Unke janamdin par Children's day celebrate kiya jata hain. Unke bare me jankari ke liye yaha click kare.

Children's Day Celebration in The Whole World

Pure viswa me children's day manaya jata hain alag alag date me. Iss link par click kare pure jankari ke liye.

Happy Children's Day - Brahma Kumaris - Spiritual Significance

Shiv baba, gyan ke sager, pavitrata ke sager, sukh ke sager, shanti ke sager, anand ke sager, prem ke sager aur shakti ke sager kahte hain mitha bache tum chinta mat karo, main baitha hu. Bhagwan, sabhi aatmao ke pita, parampita parmatma shiv baba apne bacho ko khoj lete hain aur chunkar unko patit se pawan, manushya ke devta bana dete hain. Bacho, jinko unpar pura nishchay ho jata hain, unko wo pura pura pahchan lete hain, unko swarg ka pura pura varsha mil jata hain.

Bache, shiv baba, satguru jinko wo janam janam se pukar rahe the, hey patit pawan aao aur aakar paawan banao. Shiv baba aakar apne bacho ko chun lete hain. Jo bache bahut hi janmo se unse bichade hue the aur unko pukar rahe the. Wo shiv baba, parampita aakar apne bacho se milan manate hain aur bacho ko sampuran pavitra bana dete hain. 

Aaj children's day par yahi manthan karta hu ki bache jo bahut hi pareshan hai, dukhi hai, kisi na kisi vikaro se pidit hain, kisi na kisi addiction se pareshan, sangati se pareshan, adhikaro ke hanan, pyar ki kami, padhai(education) se vanchit, kam age me hi sangati ke karan koi na koi galat karmo me involvement hona. Aise bahut se mental aur emotional problems se jujhte bacho ke liye aaj hame sochna hain ki kaise ham bacho ko palna bahut hi aache se kar sakte hain taki koi bhi bacha padhai se vanchit na ho. Sabhi Bacho ko sahi poshan mile. Koi bhi bacha ho samaj me, sabke liye ek saman padhai ki vayvashtha ho. Taki bacho me koi bhi bhinnta na ho paise ke karam, garibi ke karan. Hame apne aaspas sabhi sarkari vidyalayon ke improvement ke bare me sochna chahiye, aur tan, man, dhan se sahyog karna chahiye taki koi bhi bacha padhai se vanchit na hoo.

Aaj bacho me mental aur emotional problems aa rahi hai jiska samadhan yahi hai ki hame unke liye spiritual study aur yog ki vayvashta karni chahiye taki unme adhyatmik unnati ho sake. Unke liye moral value, moral studies ho sake.

Shiv baba, swyang parampita parmatma ne Prajapita Brahma Kumaris Ishwariya Vishwavidyalaya ki sthapna ki hai jisme sabhi bacho ke liye vishesh Rajyoga meditation course karayi jati hain. Yeh kisi bhi Brahma Kumaris ke centre par jakar kiya ja sakta hain. Isse bachho me har tarah ka vikash hota hain aur bache unnati ke path par aage badhte hain. Kharab sangati se dur rahte hain aur sada sadgati ke marg par chalte hain. Yeh kuch videos dekhe: 








No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.