Amazon

Vat Savitri - Spiritual Significance - Brahma Kumaris

Vat Savitri - Spiritual Significance - Brahma Kumaris

Om Shanti To All Brothers and Sisters, 

Aaj main aatma apna Vat Savitri Puja par spiritual experience share karne ja raha hu. Jab bhi koi special puja aati hain toh mujh aatma ka manan chintan chalta hain ki akhir hame iss puja karne se kya labh hota hain aur iska spiritual significance kya hain. Toh main ja raha tha subah subah kahi toh bahut sare vargad ke ped mile aur sabhi par bahut hi jyada bheed di "Vat Savitri" puja karne wale matao, bahno ki.

Vat Savitri - Spiritual Significance - Brahma Kumaris


Main sochne laga ki akhir iss parv me hota kya hain aur isse hame kya sikh milti hain. Iska spiritual significance kya hain.

Vat ke ped par puja karti hain bahne aur ped ke charo aur dhaga bandhte hain. Jaisa ki Vat savitri ki katha hamne suna hain. Apne pati ki pran wapas loutane ke liye yamraj ko vivas kar diya tha. Iss din specially iss katha ko yaad kiya jata hain aur sabhi bahne apne pati ki lambi aayu ki kamna karte hain vargad ke ped ke paas aur pure ped me dhaga bandhkar sankalp karte hain. Main soch raha tha, mataye, bahne kitna nirahankari, rahamdil hoti hain. Jin mahilao par itna aatyachar hota hain gharo me, usko bura bhala kaha jata hain. Bahne apne pita ka ghar chhodkar apne pati ke ghar me aati hain, jo ki pura anjan hote hain. Phir bhi bahne aisi shubh bhawna rakhti hain apne pati ke liye. Kya aisa possible ho sakta hain ki mout aaye aur yamraj pran louta de?  

Iss par ham bahut manan chintan kare toh hame yeh gyan samjh aayega ki, ek taraf ham kahte hain zindagi aur mout bhagwan ke hath me hain. Sabhi ki mout nishchit hain aur jab aana hoga wo aayega usse koi rok nahi sakta hain. Wo seth jee ki kahani bhi kahte hain ki yamraj aaya aur seth jee se kha ki aapka samay ho gaya hain. Puri dhan doulat dene ke baad bhi yamraj ne samay nahi diya.

Vat Savitri ki katha se hame sikh leni chahiye ki hame apne gharo me kaise relationship nibhane hain. Pati patni ko ek dusre ke prati shubh bhawna aur shubh kamna rakhne hain. Lekin aab samay aisa aa gaya hain ki har gharo me relationship bigadne lage hain. Jab patni apne pati ke liye shubh bhawna rakh sakti hain toh pati kyo nahi. Pati ko bhi chahiye ki wo apne patni ka pura samman kare. Ek ma ke jaisi patni pure ghar ka khayal rakhti hain, apne baccho ka, pati ka. Aur agar working women hain toh apne noukri ka bhi. Toh aise ma ko hame pura samman dena chahiye. Lekin aisa ho nahi raha hain. Aaj ka samay aisa hain jisme toh sabhi patiyon ko aise parv karne chahiye taki apne patni ko special aahsas kara sake aur unko respect de.

Ek ladki apne pita ke ghar ko chhodkar apne pati ke ghar aati hain. Aisi pratha hain toh unka kitna samman hona chahiye. Agar ladko ko ghar chhodkar jane kaha jaye toh. Sochiye?

Toh hame bhagwan kahte hain ki meethe baccho, aap sab ek aatma ho aur meri santan ho, wo jo aapke ghar me aayi hain aapki patni bankar, wo bhi ek aatma hain. Aapne uss aatma se hisab kitab hain. Toh hame aapas me bahut hi pyar se rahna hain. Ek dusre ka samman karna hain. Aur hame ghar grihasth me rahte hue pavitra jeevan jina hain. Pavitrata hi sukh shanti ki janni hain. Bhagwan jo nirakar, jyoti bindu parmatma, jihne ham patiyon ka pati bhi kahte hain. Wo hamara sab kuch hain. Loukik pati ki lambi aayu apne parloukik pita se mangte hain. Bhagwan kahte hain bacche sabhi aatmao ke prati shubh bhawna aur shubh kamna rakhe.

Phir main soch raha tha ki Vat Savitri ki puja vargad ke ped me hi kyo ki jati hain? Toh kaha jata hain ki vargad ke ped me sabhi devi-devtao ka vaas hota hain isliye iss ped ki aaradhna karne se soubhagya ki prapti hoti hain. 

Bhagwan kahte hain meethe bache, tum aatmaye paramdham se niche aate ho iss sakar lok me part play karne. Paramdham me ek aatmao ka ek ped hain jiske biz bhagwan, parampita parmatma hain jinka naam shiv hain. Wo ham sab aatmao ke parloukik pita hain. Aur niche bhi tum manushyon ka ek jhad hain jiske biz shiv baba hain. Aur jitne bhi devi devtaye hain aur uss manushya rupi jhad ke jad me baithe hain aur pure ped ki palna kar rahe hain. Yeh devi devtaye iss srishti drama ke adi me aate hain.Yeh gyan jab Bhagwan dharti par kalyug ke ant me avtarit hote hain toh Brahma Mukh ke madhyam se dete hain. Shiv baba hame sari srishti ke adi, madhya aur ant ka gyan dete hain. Puri srishti drama ka gyan samjhate hain. Isliye ped ka bahut mahatwa hota hain. Jab Bhagwan aate hain toh Brahma Ke dwara Brahman rachte hain aur Brahmano dwara pure srishti rupi ped jo abhi jadjadibhut ho chuki hain usme pavitrara ka bal bharte hain. Yeh ped poudho se hame bahut prapti hoti hain, yeh hamesha hame dete hi jate hain. Isliye hame ped paodho ki raksha karni chahiye. Ped Nahi toh zindagi nahi. Yeh bhi sikh hame leni chahiye. Jis ped ki puja ki jati ho, usko apne swarth vash katna kitna sahi hain?


No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.