Amazon

Nashe Se Mukti - DeAddiction - Brahma Kumaris Meditation Commentaries

Nashe Se Mukti - DeAddiction - Brahma Kumaris Meditation Commentaries

Main aatma, chamakti hui jyoti... Bhrakuti ke bich chamak rahi hu... aakal takht par virajman... apne sabhi karamindriyon ki malik, raja... meri sari karamindriyan mujh raja ke vash me...

Param jyoti, sarwashaktiman, pavitrata ke sager, mahakaal ki santan, master sarwa shaktiwan, master pavitrata ke sager, master mahakaal main jyoti bindu aatma hu.

Main aatma baba ka aahwahan karti hu, baba ka awahan karte hi baba hazar bhujao sahit mere mastak upper ke virajman aur unse sarwa shaktiyon ki kirne lagatar unse nikalkar mujme samati ja rahi hain. Baba ki sabhi shaktiyon ki kirne mujhe samati ja rahi hain aur main aatma shaktishali banti ja rahi hu.

Ab mujh aatma se sarwa shaktiyon ki kirne, light might nikal kar pure viswa main ja rahi hain aur un sabhi aatmao ko wo shakti ja rahi hain jo nasha karte hain aur wo shaktiyon ke vibration pakar wo sabhi aatmaye shaktishaki bante ja rahe hain. Un sabhi aatmao me shakti bharti ja rahi hain aur wo sabhi aatmaye shaktishali ban chuke hain aur bahut hi aasani se aab nasha chhod rahe hain. Wo sabhi aatmaye shaktishali aatmaye hain aur shiv baba ki pyari santane hain. 

Sabhi aatmaye nasha chhod chuki hain aur shiv baba ka dhanyawad kar rahi hain. Thank You baba. Shiv baba se prapt kar wo aatmayo ki jaane bach chuki hain aur unke parivar wale bhi shuki ho chuke hain. Nashe se karan se unke parivar wale bahut dukhi the. Thank you Baba. Meeta baba, pyara baba.

Om Shanti

Nasha mukti ke liye yog



QUIT TOBACCO, Not Life : 31st May NO Tobacco Day







No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.