Amazon

Bhagwan Bhagya Banane Kab Aate Hain - भगवान भाग्य बनाने कब आते हैं |

Bhagwan Bhagya Banane Kab Aate Hain
भगवान भाग्य बनाने कब आते हैं |


Bhagwan Bhagya Banane Kab Aate Hain - भगवान भाग्य बनाने कब आते हैं |
Bhagwan Bhagya Banane Kab Aate Hain - भगवान भाग्य बनाने कब आते हैं |

Om Shanti Angel Brothers and Sisters,

Main Sharir Ka Naam Ravi Kumar, Brahma Kumaris me char salo se gyan me hun, aur main aapse dil ke udgar, anubhaw share karna chahta hu ki bhagwan akhir kab aate hai aur aakar ke ham sab aatmao ka bhagya kab banate hain? Jo Maine Anubhaw kiya hain wo maine aapse share karuga.

Yeh kuch sawal the mere man me ki:

Main kaun hun? 
Mera kaun hai iss dunia main? 
Bhagwan kaun hai? 
Bhagwan kab aate hai?  
Bhagwan kya karte hai? 
Bhagwan kya ek hai? 
Hindu Muslim Sikh Ishai aapas me bhai kaise ho gaye? Aur Bhai Hote hue bhi apas me itna ladai jhagda kaise? 
Kya bhagwan hamara bhagya banate hain?

Toh aise hi kuch sawal mere man me chalte rahte the? chunki ham apne life me itna busy rahte hai ki ham yeh sab sawal soch nahi pate? aur yaha tak ki ham apne aap ko bhi bhul jate hain? ki ham jo dikhte hai wo hai nahi. Jaise Ham sochte hai yeh mera sharir hai, lekin yeh sharir toh vinashi hai, mitti me mil jayega? phir yeh satya kaise? Ham sochte hai yeh mera ghar hai, lekin yeh ghar bhi vinashi hai, aaj mere paas hai kal kisi aur ke paas chala jayega. Toh satya kya hai?

Ham kaun hai?

Jab Tak Ham Khud ko nahi janege, tab tak ham Khuda ko bhi nahi jan sakte?
Ek Din achanak main Brahma Kumaris ke Aashram me apne aap hi chala gaya jo Birsa Munda Park Dhanbad me hain aur waha baith kar jyoti bindu me dhyan lagane laga. Mujhe waha bahut hi aacha anubhaw hua aur mera dimag ek point par pahucha, jaha se sankalp(thoughts) kam hone lage aur mera dimag shant hone laga.

Uske Baad mujhe yaha Brahma Kumaris ke ashram Jo JagJivan Nager, Dhanbad me hain, waha jakar Brahma Kumaris Ke 7 days course karne ka mouka mila jo bilkul free hai aur puri dunia me iska 8500 centres hai, sab jagah yeh course free me karaya jata hai aur iss course me hame apne aap ko janne ka mouka milta hai aur mera kaun hai yeh janne ka mouka milta hai? isse hamare life bahut hi stable, peaceful, joyful, pure, knowledgeful ban jati hain? Hame apne wastwik lakshya ka pata chalta hai ki akhir ham iss dunia me kyo aaye hai.

Maine bhi yeh jana ki main jisse sharir samjhta tha, aur sharir ke naam par ghamand karta tha, mujhe pata chala ki main sharir nahi, main sharir ko chalane wali ek aatma hun. Iss dunia me sabhi ek aatma hain. Aur aatma ke 3 part hai, Man, Buddhi aur Sanskara. Kyoki Sharir Mar Jata hai, lekin aatma avinashi hai, wo nahi marti hain. Maine iss par bahut research kiya, Geeta me bhi padha aur bahut dharmo ke articles aur books dekhe. Aatma ko energy, jeevan, Ruh, Soul bhi kahte hain. Aatma me 7 virtues(guun) hote hain, pavitrata, gyan, prem, sukh, shanti, anand aur shakti. 

Mujhe yaha bataya gaya ki ham gussa kyo karte hain. Aatma ke natural guun(virtues) toh shanti hai, chunki aatma ki battery discharge ho jati hai, aatma Sato, Rajo, Tamo Phase se gujarti hain. Aatma hi Pawan banti hai phir patit banti hai? Aatma jab Patit banti hai, toh usme shakti kam ho jati hai issliye wo bhul jati hai ki wo peaceful hai aur gussa karti hai.

WHO IS GOD?

Phir mujhe yah jaanne ka mouka mila ki mera 2 pita(Father) hai, ek sharir ka aur dusra aatma ka pita. Aur Bhagwan ek hai. Aur wo sabhi aatmao ka pita hai, Father hai. Supreme Authority hain. Chunki sabka pita(Father) hai, isliye kahte hai param pita. Mujhe pata chala ki isliye Hindu, Muslim, Sikh, Ishai etc sabhi dharm ke sabhi log aapas me bhai huye. Yeh aatmik relation hai. Chunki Yeh sab log bhul jate hai, isliye apas me ladte rahte hain.



Bhagwan Bhagya Banane Kab Aate Hain - भगवान भाग्य बनाने कब आते हैं |


Iss prashan ka bhi uttar mujhe mil gaya, Brahma Kumaris ke 7 Days ka course Karke. Main aatma aapse share karta hun.

Isse pehle yeh jaruri tha ki main aapko aatma aur paramaatma ka parichay share karu. Uppar me maine yeh aapse share kiya. Bhagwan Bhagya Banane aate hai? Kya yeh sach hai?

Mere ander yeh prashn chal rahe the, akhir mujhe iss baat ka pata chala course me ki Bhagwan Ham sab aatmao ka bhagya kab banate hai? Course me mujhe bataya gaya ki yeh dunia(srishti) 4 phase se gujarti hai, Sato pradhan, Sato, Rajo aur Tamo.  Jiska naam Satyug, Treta, Dwapar, Kalyug. Inn Charo Yugo me aatmaye iss charo phase se gujarti hai. Jab shuru me aatma paramdham se aati hai iss Satyugi srishti par toh satopradhan(Purest) rahti hai, phir Treta Yug me jati hai toh Sato(Pure) Ban Jati hain, phir next Dwapar yug me pravesh karti hai toh Rajo(copper age) ban jati hai, phir Kalyug me Tamo(Iron Age) ban jati haim. Aisa Prakritik ke sath bhi hota hai, shuru shuru me environment bhi ekdum purest state me hoti hai aur dhire dhire pollution badhta jata hain.

Lekin Mujhe ek baat samjh aayi, ki purest hoti hai aatmaye aur prakritik shuru shuru me, lekin baad me patit, polluted ban jati hai. Lekin phir se purest kaise banegi?

Tab Mujhe course me bataya gaya ki Geeta me likha hai, Yada Yada Hi Dharmashya...

Jab Iss Srishti me, pap badh jata hai, sab aapas me mahabharat karte rahte hai, aamaye patit ban jati hai, prakirtik bhi polluted ban jati hai tab main aata hu, iss dhara ko phir se pawan banane aur pawan banakar sabko mukti aur jeevanmukti deta hun. Mukti matlab aatmaye apne ghar(Paramdhan, brahmlok, shantidham) chali jati hai aur jeevanmukti matlab Bhagwan hame aakar sacha sacha geeta gyan padhakar hame phir se pawan banate hai aur jo aatmaye srimat ko follow kar pawan banti hai usse numerwar swarg(satyug, paradise, jannat) me unch pad prapt hota hain. Issi ko bhagya banana kahte hai. Bhagwan Bhagya nahi likhte hain, wo hame padhate hai aur ham padhkar apna bhagya khud likhte hain. Bhagwan hame bhagya likhne ki kalam hamare hatho me de dete hai. Jis tarah se teacher kya karta hai, student ko padhata hai aur student padh kar apna bhagya sunder banata hain. This ussi prakar bhagwan se padhkar ham devi devta ban jate hain. Ekdum Paawan.

Aur wo daur abhi chal raha hai, Kalyug ka ant samay jisse ghor kalyug kahte hain. Abhi har ghar me mahabharat chal raha hai. Aur ishi daur me bhagwan ko aatna padta hain Kalyug ke aant me jise Sangamyug kahte hain.

Maine jana ki Bhagwan aa chuke hain aatmao ko pawan(pavitra, purest, satopradhan) banane ke liye. Maine yeh bhi jana ki bhagwan koi bhagya dete nahi, wo aakar hame padhai padhate hai aur rajyoga sikhate hai. Geeta me likha hai, Bhagan kahte hain manmanabhaw. Khud ko aatma samjh kar mujhe yaad karo toh tumahre sare pap(Wrong karma) kat jayege aur tum swarg ke malik ban jaoge.

Toh iss sangamyug me hi bhagya(Swarg par shashan) banane ka mouka hai. Bhagwan bhagya banane sangamyug(kalyug ka aant aur satyug ka aadi) me aate hai aur ham sab aatmao ka bhagya banate hai. Mujhe yah gyan sunkar bahut hi shanti anubhaw ho raha hai. Main bhi roj class karne Brahma Kumaris ke ashram jata hu aur apne kharab sanskaro ko samapt kar raha hun. Jisse mujhe ati indriyan sukh ki prapti ho rahi hain. 

Aap bhi Brahma Kumaris ke 7 Days Course Online karna chate hai toh kar sakte hain aur apne aaspas jo centre ho waha jakar apne prashno ka samadhan kar sakte hain.

Brahma Kumaris Ke Centers all over the world me available hain.


Dil Se Om Shanti

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.