Amazon

Free From DeAddiction - Nashe Se Mukti - Brahma Kumaris

Hello Friends,

Main aaj phir se aapke samne present hu ek naye topic ke sath. Aaj mai bat karunga ki kaise nashe se mukti sambhaw hain. Main aapke sath ek story share karuga jisme ek aadmi kaise nashe se mukti paya uske bare me bataouga. Yeh photo dekhe: 




Main chahta hu ki iss lekh ko aap ek baar padh le, Isme aap payege ki kaise ek aadmi jo nashe ka aadi ho chuka tha aur kaise iske life main U-turn aaya aur inhone aapni life save kar li.

Dosto, friend aisa rakhe jo aapko unchi manjil tak le jaye aur sachcha rasta bataye zindagi main. Lekin yaha aapne dekha ki kaise yeh aadmi jiska naam Shiv Dayal from Madhya Pradesh tha aur dosto ki sangati ke karan nashe ka aadi ho gaya aur dinbhar nashe se lipt rahne laga. Iske parivar wale kitna pareshan rahne lage.

Friends, mera manna hai ki yeh aise addictions kam, krodh, lobh, moh, ahankar, ishya, dwesh, nafrat, bhrashtrachar etc jo koi doctor thik nahi kar sakta hai, isse ham spiritual power, yoga, rajyoga meditation se hi thik kar sakte hai. Iss aadmi ne bhi yahi kiya aur apni ma ke kehne par apne ghar ke bagal me chal rahe Brahma Kumaris ke pradarshani me gaya aur pura program ko bade dhyan se suna aur yeh program inke life me parivartan le aaya.

Aur aab yeh aadmi nashe se nafrat karta hain, inke life me khushiyan hi khushiyan aa gayi hai. 

Dosto main yaha nashe se kaarno par charcha nahi karuga, iske bare me main ek naye post main likhuga. Yaha iss blog main inke bare me bataya aur batane ke khas reason tha ki kaise iss insan ne nashe se mukti payi aur apne life ko save kiya.
Nasha Naash ka karan hota hain.
Dosto spirituality me bahut power hota hai jo kisi ke bhi kade se kade sanskar ko thik kar saakta hain. Yeh toh hui spirituality ki baat. Aab ham ager  general tarike se soche toh nashe se kaise mukti payi ja sakti hain. Jisse yaha ke hospitals aur nasha mukti kendro par follow kiya jata hain. 

Iske liye bahut sari types ke dawaiyan hai jo patient ko di jati hai aur jyada problem badh jaye toh patient ko glucose tak chadhaya jata hain. Treatment ke sath sath patient ko aise mahol me rakha jata hai jo usse nashe ki yaad tak na aaye aur kuch yoga technique, jogging, music etc ki madad bhi li jati hai.

Dosto main bhi ek aise Nasha Mukti Abhiyan se juda hu jisme  main logo ko nashe se mukti ke bare me batata hu. Mera main aim hai ki main aise addicted logo ki zindagi ko bacha saku.

Facebook Page: Nashe Se Mukti

Youtube Channel : Nashe Se Mukti

Rajyoga Meditation se Nasha Mukti

नशे से मुक्ति संभव हैं ।। Freedom From Addiction || नशा एक अभिशाप

 

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.