Amazon

The Spiritual Significance of Teacher's Day - Brahma Kumaris

The Spiritual Significance of Teacher's Day - Brahma Kumaris

Teachers ka hamare jeevan me kya mahatwa hai, yeh hame acchi tarah pata hain. Pata hai na?

Teaching is the supreme art of gardening the spirit with light of knowledge and water of love. Happy Teachers Day. #brahmakumaris

Teachers hi hai, jo hame agyan rupi andhere se bahar nikalta hain aur prakash me le jata hain. Teachers ki respect sabhi karte hain, chahe pap aatma ho ya punya aatma. Asur ho ya devtaye. Dono ko shiksha ki jarurat hoti hain.

Bacha janam leta hain aur sabse pehle Ma hi uss bache ke liye guru ka role nibhati hain. Even, pet se hi uss bache ko shiksha milne lag jati hain Ma se. Ma hi first guru hoti hain.

Isliye bhi teacher's day ka kuch alag hi importance ho jata hain. Ab ham yeh toh jante hain ki guru kya hote hain, kaun hote hain. Ab hame sache sache guru ko janna hain aur pahchanna hain. Taki hame sahi shiksha mil sake. Aur ham andhkar se prakash me aaye. Aisa na ho, ki ham kisi ko bhi guru bana le, aur andkar ke andhkar me hi ghumte rahe. Ab bataye: 

Sacha guru kaun hain?

Sacha guru hame kha milege?

Sacha guru honge toh hame kya gyan milega?


Ham Aatmao ke Parloukik pita, parampita parmatma, apne vaade anusar hame patit se pawan banane aate hain aur hame sacha sacha Geeta gyan sunakar, rajyoga sikha kar hame nar se sri narayan aur nari se sri lakshmi banate hain. Wo hamare pita bhi hain, teacher bhi hai, sakha hain, sadguru bhi hai etc. Hame unse sarwa sambandh jod sakte hain.

Brahma Kumaris Ishwariya Viswa Vidyalaya me Brahma Ke tan ke aadhar lekar shiv baba hame roj sacha sacha Geeta gyan de rahe hain aur hame rajyog ka abhyash kara rahe hain.

Ek hamare loukik teacher hote hain aur ek hamare parloukik teacher hote hain. Bhagwan kahte hain, parloukik teacher se toh hame swarg ka varsha milta hain. Loukik teacher se bhi hame bahut kuch sikhne milta hain jisse ham apne pairo par khade ho sake hain. Aur padh likhkar kuch ban sake. Parloukik teacher jab padhate hain aur toh aim object dete hain ki bache tumeh Nar se Sri Narayan Aur Nari Se Sri Lakshmi banna hain. Tum apne ko aatma samjh kar mujhe yaad karo Toh tumhare janam janam ke vikaram vinash ho jayege aur tumeh main 21 janmo ka swarg ka varsha doonga. Jaha sirf sukh hi sukh hote hain.

Abhi Jab Brahma Kumaris organization jo 85 varsho se lagatar karyarat hain aur bhagwan khud hame teachings de rahe hain ki bache aatma ko pavitra banao. Tumeh mujhe yaad karo toh pavitra ban jayege.

Toh hame teacher ka kitna respect rakhna chahiye. Yeh bhi baat hain ki teacher kabhi kripa nahi karte. Wo sakshi hokar dekhte hain agar koi exam aa jata hain toh.

Wo Ruhani teacher, bhagwan, satguru, shiv baba hame roj paramdham se aakar sacha sacha Geeta gyan(murli) sunate hain aur ham aatmaye padhkar Nar Se Sri Narayan aur Nari se Sri Lakshmi pad ko prapt karte hain. Yeh ham baccho ka aim object hota hain.

Aur Teacher's Day par ham loukik teacher ka bhi bahut respect se bulkar khana khilate hain, cake cutting karte hain aur gift dete hain. Ham aaj apne ruhani teacher ko bahut hi pyar se yaad karte hain.



छात्रों के लिए सफलता के सूत्र - Solution to Increase Child Marks - BK Shivani






शिक्षक एक श्रेष्ठ समाज के निर्माता हैं, अतः शिक्षक दिवस पर करें हमारे शिक्षकों का शुक्रिया | आइए सुनते हैं, आदरणीय ब्रह्माकुमारी उषा दीदी जी से एक विशेष प्रेरणा | #HappyTeachersday #TeachersDay

No comments:

Post a Comment

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.