Brahma Kumaris Murli 28-07-2021 Manan-Chintan
मीठे बच्चे - यह पुरुषोत्तम बनने का संगमयुग है, इसमें कोई भी पाप कर्म नहीं करना है''
Aaj Meethe baba kahte hain, meethe bacche. Baba roj ham baccho ko meethe bacche hi kahte hain. Chahe kuch bhi ho jaye, hamse kaisa bhi bhul ho jaye. Baba roj subah hame meethe bacche hi pukarte hain. Aisa abhi loukik dunia me dekhne nahi milega. Hamare loukik baccho se kuch bhul ho jati hain toh ham kya kahte hain hamare baccho se. Hamare mukh se meetha nikalta hi nahi hain. Aur baba kitne nirahankari hai, rahamdil hain ki baccho ki kitni bhi badi bhul ho jaye, chahe kitna bhi bade se bada srimat ka ulanghan ho jaye, lekin baba hamesha aisa feel karwate hain ki baba baccho ko dil se maaf kar diye hain aur meethe bacche kahkar pukar rahe hain. Wah baba wah, wah meethe baba wah. Aisa baap saman nirahankari aur rahamdil hame bhi banna hain.
Phir baba aage kahte hain ki bacche ye purushhotam banne ka sangamyug hain isme koi bhi pap karam nahi karna hain. Yeh kalyug ka aant aur satyug ka aadi samay sangamyug, jisme khud bhagwan aakar aatmao ko patit se pawan banate hain aur swarg ke 21 janam ki badshahi dete hain jaha dukh ka namo nishan nahi hota hain, sabhi aatmaye sukhi, nirogi aur sampann rahte hain. Toh baba kahte hain iss sangamyug me jab bap aaya hua hain toh hame purushhotam banna hi hain, tabhi hamara lakshya nar se sri narayan aur nari se sri lakshmi banne ka pura hoga. Purush matlab aatma aur purushon me uttam banna hain. Baap saman banna hain. Shiv baba hame 16 kala sampuran, sampuran nirwikari banate hain. Baba kahte hain iss sangamyug me kitna nasha hona chahiye ki ham purushhotam ban rahe hain, mera baba teacher bankar hame padha raha hain toh hamse koi pap karam hoga? Hame pura attention rakhna hain, aatmik smiriti ka abhyash karna hain taki ham pura attention de sake. Brahman jeevan me dincharya ko pura pura follow karna hain taki ham deh bhan se dur rahe, aur yeh deh bhan hamse koi pap na kawaye. Yeh deh bhan hi sare pap karamo ka karan hain. Hamne kitne pap kiye hain iss deh bhan me aakar 63 janam. Aur phir bhagwan ko pukarne lage ki hey patit pawan aao, aakar hame pawan banao. Puri murli ka heading hain bacche purushhotam banna hain aur koi pap karam nahi karna hain.
Phir baba prashan puchte hain:
प्रश्नः-
संगम पर तुम बच्चे सबसे बड़ा पुण्य कौन सा करते हो?
उत्तर:-
स्वयं को बाप के हवाले कर देना अर्थात् सम्पूर्ण स्वाहा हो जाना, यह है सबसे बड़ा पुण्य। अभी तुम ममत्व मिटाते हो। बाल बच्चे, घर-बार सबको भूलते हो, यही तुम्हारा व्रत है। आप मुये मर गई दुनिया। अभी तुम विकारी सम्बन्धों से मुक्त होते हो।
Baba hame yaad dila rahe hain ki sabse bada punya ham bacche kaun sa karte hain. Baba kahte hain sabse bada punya hain swayang ko baap ke hawale kar dena, matlab sampuran swaha ho jana. Hame check karna hain ki ham kya sampuran samarpan, swaha hue hain ki moh, akarshan abhi kahi aur bhi juda hain. Agar abhi ham mamatwa mitate hain, yeh sabse bada punya hain. Kyoki abhi toh mout sar par khada hain, aur yeh purani dunia ka vinash hone hi wala hain. Agar iss purani dunia se jara sab bhi mamatwa raha toh ham uss vinash me ham bhi vinash ho jayege. Wo mamatwa hame bhi khinch lega. Hame sirf shiv baba se mamtwa rakhna hain aur unhi ko yaad karna hain. Koi sankalp nahi chalana hain. Jaise ham kahi noukri karne jate hain toh boss jo bolta hain wahi karte hain. Ekdum dedicated employee bankar kam karte hain. Baba bhi kahte hain bacche kisi se mamatwa nahi. Yeh purani dunia ka vinash hone wala hain. Ham yaha mehman hain, mout sar par khada hain. Iss dunia me rahte hue nyara aur pyara, ek baap ki hi yaad rahe toh punya karam hoga. Agar iske alawa kuch bhi sankalp chala toh wo pap karam me hi ginti hoga.
Abhi wo samay hain jab hame sab bhulna hain aur yeh hamara vrat hain. Aant mati so gati. Hame jeete jee mar jana hain. Baba kahte hain abhi tum vikari sambandho se mukt hote hain. Iss dunia me sabhi vikari sambandh hain isse hame mukt hona hain tabhi ham nirwikari dunia me chal sakege. Toh hame check karna hain hamse kitna punya hota hain. Punya ka khata kitna jama kiya hain. Kahi ham vikaro me aur vikari sambandho me toh lipt nahi hain. Hame sabke vich me rahte hue, baap ki yaad me rahkar sabki palna karni hain aur sabko aloukik bana dena hain. Sare karam nimit samjh kar, baap ki yaad me rahkar, sewa samjh kar karna hain.
Geet hain - गीत:-
Listen - जले न क्यों परवाना.....Gyan ka arjan karne walo ko arjun kaha jata hain. Baba ham sab baccho ko arjun kahte hain.
तुम बच्चे जानते हो यह पुरानी दुनिया अब खत्म होनी है इसलिए जरूर इससे वैराग्य आना चाहिए।
Baba kahte hain bacche yeh purani duniya khatam honi hain isliye jarur isse vairagya aana chahiye. Iss purani dunia se agar mamatwa rakha toh hamari sadgati nahi ho sakti hain. Purnia duniya ke sath ham bhi durgati ko pa lenge. Hame baba abhi jeevan mukti dene aaye hain, swarg ka 21 janmo ki badshahi dene aaye hain toh hame iss purani dunia se vairagya rakhna hi padega na. Jaise ham naya ghar banate hain toh purane ghar se vairagya aa jata hain na. Ab kewal ham naye ghar ke bare me hi sochte hain. Toh baba kahte hain ab kalyug ke bad satyug aana hain. Iski niv abhi sangamyug me baba dal rahe hain. Jo satyug me hame naya ghar dekhne milega. Sone ke mahal honge. Ham devi devtaye pavitra honge. Aur purushhotam ban jayege. Purusho me uttam lakshmi aur narayan hote hain.
Baba se hamne wada kiya hain, hame purushotam banna hain aur sabko banana hain 21 janmo ke liye.
तुम जगत अम्बा के बच्चे हो। सबकी मनोकामनायें 21 जन्मों के लिए तुम पूरी करते हो। एक ही महामन्त्र से सब मनोकामनायें 21 जन्म के लिए पूरी हो रही है।
मामेकम् याद करेंगे तब ही पावन बनेंगे
तुमको तो गर्भ महल में आना है, इसलिए बाप को याद करो तो विकर्म विनाश होंगे फिर कब गर्भजेल में नहीं जायेंगे।
सब गर्भ महल में रहते हैं, सिर्फ कम पुरुषार्थ के कारण कम पद पाते हैं। ऊंच पद वालों को सुख भी बहुत रहता है।
धारणा के लिए मुख्य सार:-
1) इस पुरुषोत्तम युग में जीवनमुक्त बनने के लिए पुण्य कर्म करने हैं। पवित्र जरूर रहना है। घरबार आदि सब होते दिल से ममत्व मिटा देना है।
2) श्रीमत पर अपने तन-मन-धन से दैवी राज्य स्थापन करना है। पुरुषोत्तम बनाने की सेवा करनी है।
Aaj ki murli se dharna ki points hain hame punya karam karne hain. Pavitra jarur rahna hain. Ghar me rahte hue mamatwa mita dena hain. Sri mat ka palan karte hue tan-man-dhan se devi rajya sthapn karna hain. Purushottam ban rahe hain, hame banane ki sewa karni hain.
वरदान:-
आलमाइटी बाप की अथॉरिटी से हर कार्य को सहज करने वाले सदा अटल निश्चयबुद्धि भव
हम सबसे श्रेष्ठ आलमाइटी बाप की अथॉरिटी से सब कार्य करने वाले हैं, यह इतना अटल निश्चय हो जो कोई टाल ना सके, इससे कितना भी कोई बड़ा कार्य करते अति सहज अनुभव करेंगे। जैसे आजकल साइंस ने ऐसी मशीनरी तैयार की है जो कोई भी प्रश्न का उत्तर सहज ही मिल जाता है, दिमाग चलाने से छूट जाते हैं। ऐसे आलमाइटी अथॉरिटी को सामने रखेंगे तो सब प्रश्नों का उत्तर सहज मिल जायेगा और सहज मार्ग की अनुभूति होगी।
Mere baap ki authority ko use karna hain, mere liye sochne ka kaam bhi mere baba hi karte hain. Hame sirf baba ki yaad karna hain aur baba ki planning par chalna hain. Ek baar baba ki planning par chalkar toh dekhe. Baba ki apni life ki planning karne toh de ham. Baap ki authority use toh kare. Kaise agar koi hamare loukik family me bhi police ki noukri karta hain toh toh uski authority use karte hain.
स्लोगन:-
एकाग्रता की शक्ति परवश स्थिति को भी परिवर्तन कर देती है।
The power of concentration will transform the stage of being under an external influence.
No comments:
Post a Comment