Where Is Heaven Located In The Universe?
ब्रह्मांड में स्वर्ग कहाँ स्थित है?
I found the answer in today's murli by Brahma Kumaris. Main roj hi murli padhta hun jisse mujhe man ki shanti, sukh, anand ki prapti hoti hai. Murli sunne se gyan toh prapt hoti hi hai, usse hamare jivan main pavitrata aati hain.
14/07/19 Madhuban Avyakt BapDada Om Shanti 31/12/84
Aaj jab main roj ki tarah amritbela yog karne ke baad jab main aapne yugal ko murli padhkar suna raha tha, tab manthan karte samay, mujhe bahut hi gahre gyan ki prapti hui jisme bhagwan(Baba) ne kha ki :
"श्रेष्ठ संस्कार ही श्रेष्ठ संसार के रचना की नींव हैं।
Main iss sentence par manthan karne laga aur bahut hi deep knowledge ki prapti hui. Baba ne kha ki sresth sanskar se hi sresth sansar banta hai.
Elevated sanskars are the foundation of creating an elevated world."
Iska matlab mujhe samjh aaya ki, swarg(heaven, satyug, paradise world, sresth dunia, new elevated world) hamari ander hi chupi hui hai. Jis din ham apne sanskar ko elevated bana lenge ussi samay nayi dunia(Swarg) aa jayegi. Hamare good habits, aache sanskar hi nayi dunia ki foundation hai.
Bhagwan Aa Chuke hai ham aatmao ko pawan(pavitra) banane
Sabse pehle toh hamare sanskar, habit pavitra hone chahiye. Bhagwan aate hi hai iss dhara par hame patit se pawan banane ke liye. Aab jab Bhagwan aa chuke hain aur hame pavitra bana rahe hai to hame bhi bhagwan ke farman ko manna hai aur sresth purusarth karke unch pad pana hain.
Pawan(Pavitra) kahne ka matlab hai ki hamare har soch, bol, karam pavitra(Satvik) hone chahiye. Bharat ko sone ki chidiyan kha jata hai. Ham hi kabhi pavitra the, aur phir se ham abhi bhagwan ke dwara pavitra ban rahe hai. Pavitra banege tabhi pavitra dunia ke malik banege.
Maine jo title me apne man ke prashn ko likha hai, uska answer yahi hai ki hame nayi dunia banani hai apne sanskar ko thik karke.
Sanskar(Habit jo ham repeat karte hai). Ham sab ek aatma hai aur aatma ki tin sukshm indriyan hoti hai, man, buddhi aur sanskar.
Man - Sochta hi rahta hai, man ek ghoda ke jaisa hai.
Buddhi - Buddhi(intellect), yeh nirnay karti hai
Sanskar - Man sochta hai, buddhi sahi aur galat ka nirnay karti hai, aur ek baar jo karam insan kar deta hai, chahe galat ya sahi, wo uska sanskar ban jata hai. Aur insan ke sanskar hi usse patit ya pawan banate hai.
Ager aap bhi Bhagwan se milan manana chahte ho, toh Brahma Kumaris ke kisi bhi sewa kendra main jakar 7 days ka free course Jarur kare.
Abhi Nahi Toh Kabhi Nahi