Amazon

My First Time Madhuvan Mount Abu Experience

My First Time Madhuvan Mount Abu Experience

Om Shanti, Baba ne mujhe Madhuvan Bulaya. Mere pran pyare, mithe baba, pyare baba. Baba ne mujhe yugal Bhatti main madhuvan bulaya. Main apna anubhav share karne ja raha hu. Chuki yeh mera first time visit tha, toh mujhe pata nahi tha. Kal center par didi ne kha ki ravi bhai aapne apna madhuvan ka anubhav share nahi kiya. Maine kha ki didi agle satguruwar ko share karuga. Main apna anubhav yaha bhi share kar raha hu.

Madhuvan ka vibration bahut hi aacha hai aur pawan hai just like Satyug. Isse pehle ki main apna anubhav batao, main apne bare main batana chahta hu. Main sabse pehle baba se mila tha Birsa Munda Park Brahma Kumaris Ashram. I went to Park with my family. Lekin gyan main nahi aaya. Uske 2 sal baad Sonotel hotel campus main BK Usha didi ka program hua tha jo Brahma Kumaris Dhanbad se conduct kiya tha. Uska ad Prabhat khabar main aaya hua tha, wo maine dekha aur mujhe sankalp aaya ki main Brahma Kumari center jao aur anu didi se milu. Main ussi din center gaya apne yugal aur bache ke sath. Aur mujhe waha gyan mila aur maine pass collect kiya program ka aur pura program dekha. Uske baad center par 7 days Rajyoga free course rakha gaya jise maine apne pure loukik parivar(Parents, Yugal, Brother, daughter) ke sath kiya. Aur mujhe kuch alag se touching hui jab anu didi ne course ke baad ek game karaya jisme dusre ki muthi kholne kha gaya tha aur samne wale ko kha gaya ki jod se muthi band karke rakhe. Uss samay maine kuch bhi jod nahi lagaya. Uss game ka learning tha ki kaun kaisa jod lagata hai, takat lagata hai ki pyare se bolta hai kholne ke liye. Tab se main gyan main aa gaya. Lekin abhi bahut chota se baccha hua baba ka. Kaphi tivra purusharth karna hai aur aage jana hai.

madhuvan main points

Yatra

1. Vighna pad raha hai nahi jane ka
2. Gujrati bhai baba prichay
3. Old people marwari baba parichay
4. Train main laxman bhai, ranvir bhai, aur ahuti bhai
5. Ticket booking and aur ek hi coach main mil gaya seat
6. Ajmer jain temple, golden yug


Gyan
1. Yugal Bhatti, Nashto moha smriti labhdha
2. First Murli Conference Hall
3. Murli at diamond hall
4. A dance by ratan mohini dadi
5. Dadio prakashmani diwas
6. Sougat and murli bhi dadi janki
7. classess by many bhai and sisters

YOG
1. Amrit Bela Diamond Hall
2. Baba Room Diamond Hall
3. Baba room in manmohini complex
4. Baba room in pandav Bhawan, Baba ki jhopdi
5. Letter to Baba
6. Baba room jaha baba sote the
7. Baba room jaha baba murli chalate the
8 Baba Jhula
9. Dadi prakashmani sthambh


Sewa
1. Sabji department
2. Baba Bhog
3. Dal Chawal
4. Vegetable
5. IT Wing Registration, spark wing registration

Food
1. Dining Hall, food three times
2. Chai
3. Milk
4. Brahma Bhojan, jisse khane ke liye devi devta bhi taraste hai
5. Baba Bhog Parcel
6. Baba Bhog and Satguruwar, baba amrit jal

Meeting
1. Ranbir Bhai Brother
2. Ranbir bhai sahyogi bhai, paining department
3. Ranbir bhai purane sahyogi in pandav bhawan

Ghumna:
1.solar plant
2. Zyanamrit Bhawan
3. Pandav Bhawan
4. Goldlywood studio, peace of mind tv bhawan
5. Dadi Prakash mani park
6. Both Pandav Bhawan and diamond hall dining
7. Shopping
8. Nacci lake
9. Abu parwat
10. char dham madhuvan -
11. Om Shanti Bhawan, Peace Hall
12. 3D Baba parichay by Usha didi in hall
13. Baba sougat - Rakhi, bag, dadi prakash mani book
14. secret of dianasour, alashya albelapan book, aise the brahma baba
15. Bartan dhone ke machine
16. Baba
17. Shopping

Brahmakumaris Awyakt Murli Manthan 28 October 2018

संगम पर चार कम्बाइन्ड रूपों का अनुभव

Om Shanti, aaj baap dada ham baccho ke char combined rup ko dekh rahe hai aur hamse bate kar rahe hai. Baba toh sangam main hi aate hai aur ham baccho ko patit se pawan banate hai.

1. Main aatma aur mera loukik sharir
2. AAP AUR BAAP
3. Brahman so Farishta
4. Laxmi - Narayan

Aaj baap dada hamare charo combined rup ko dekh rahe hai aur bata rahe hai ki bacche, tum aatma ho aur yeh tumhara sharir hai jiska driver tumhari aatma hai, baap param aatma hai, supreme soul. Ham sab aatma hai aur mera pita parampita paramatma. Baba kahte hai bacche, tisra combined rup hai, tum bacche brahman bacche ho aur brahman se phir farisha(kisi se rishta nahi, sirf ek baap se) banoge, phir jake devi devta banoge. Aur sabse sresth se sresth rup hai laxmi narayan. Jiska purusharth sabse aacha hoga wo jake satyug ke maharaja, maharani banege. Yeh hai charo combined rup jo baap dada aaj ham baccho main dekh rahe hai. Ham bacche hai jo abhi padhai kar rahe hai aur numberwar pad prapt karege.

Aaj baba ne hame kaha ki bacche sabse aacha slogan hai karobar(Service) main safal hone ka ki regard do aur regard lo. Jo jitana regard dete hai usse utna regard milta hai. Toh batao bacche regard lena hai na toh kitna regard doge. Dil se regard dena hai sabhi ko. Ager dil se regard lena hai toh.

V- अपने हर कर्म और बोल द्वारा चलते फिरते हर आत्मा को शिक्षा देने वाले मास्टर शिक्षक भव 

जैसे आजकल चलती-फिरती लाइब्रेरी होती है, ऐसे आप भी चलते-फिरते मास्टर शिक्षक हो। सदा अपने सामने स्टूडेन्ट देखो, अकेले नहीं हो, सदा स्टूडेन्ट के सामने हो। सदा स्टडी कर भी रहे हो और करा भी रहे हो। योग्य शिक्षक कभी स्टूडेन्ट के आगे अलबेले नहीं होंगे, अटेन्शन रखेंगे। आप सोते हो, उठते हो, चलते हो, खाते हो, हर समय समझो हम बड़े कालेज में बैठे हैं, स्टूडेन्ट देख रहे हैं।

Baba hame itna gyan de rahe ho aap, gyan baatne se badhta hai aur bacchane se ghattha hai. Hame baba ne kha ki bacche hamesha yeh feel karo toh tumhare sare students yaha tumhare saamne baithe hai. Tum iss college main ho aur tumare students wait kar rahe hai. Student ke samne kabhi teacher albela nahi hoga aur na hi aalasya aayega. Yeh ATTENTION hamesha sath rakho.

S- आत्म निश्चय से अपने संस्कारों को सम्पूर्ण पावन बनाना ही श्रेष्ठ योग है।

Baba iss slogan ke madhyam se kah rahe ki bacche kisi bhi chiz main safalta pana hai toh nishchay jaruri hai. Bina nishchay ke kuch nahi. Aapne aatma main nishchay karna hai ki hamare jitne bhi purance kharab sanskar hai sabko pawan aur pavitra banana hai sheresth yog ke madhyam se.

Om Shanti

About Me - BK Ravi Kumar

I am an MCA, IT Professional & Blogger, Spiritualist, A Brahma Kumar at Brahmakumaris. I have been blogging here.